Jul 11, 2018
Zamaana humse badalne ki zidd karta gaya.
Hum se pehle khud zamaanaa badalta gaya.
Thak kar kadam jo ruk jaaye kahin,
wo makaam hi thikaana banta gaya.
Sawaalon ke jawaab mile na mile,
har tehqeeq ek fasaanaa banta gaya.
Alfaazon ki nadi mein jis gam ko bahaya,
beher-e-mehfil mein wo begaana banta gaya.
Ghazalon wali umr toh naseeb ho na saki,
humara andaaz hi shayaraana banta gaya...
-Abdullah Alam